#Meethoo a parakeet

Popta popta boltos god… Meethoo…Meethoo…

Jab yun boli meri nanhi totali chiraiya…

Meri aakhein nam aur mere dil ki dhadhkanein hui sun!

Meethoo Meethoo….

But she is just five it can’t be true

Meethoo Meethoo….

But I was always watching as she grew…

Meethoo Meethoo

I wish my mother knew too…

Yes Amma! Me too…me too…

Dheere dheere bol koi sun na le…sun na le baba sun na le…

Arey wo tere mama hain…

Arey kya hua ju kaske pakda…

Who toh tere mama hain…

Arey kya hua jo dekh liya…

Woh toh tere bhaiya hain…

Arey kya hua jo chhed diya…

Sab jante hain woh toh Kanhaiya hain….

Arey kya hua jo choom liya…

Aakhir woh tere hone wale Miya hain…

Dheere dheere bol koi sun na le…sun na le baba sun na le…

Aakhir kyun na bolun woh mama thhe…Aakhir kyun na bolun woh bhaiya thhe…

Kyun kanhaiya? Phal ki asha kiye bina kiya woh karm thha

Kyun miyan? Inkar ko sun na paye…kya tumhe bhi koi bharam tha…

Dheere dheere bol koi sun na le…sun na le baba sun na le…

Ab kyun teri aankhein khuli hain…

Ab kyun tu un sab se jaa mili hai…

Ab kyun kiya parda faash…

Ab tak tu thi kya zinda laash?

Ab yeh boli kyun boli hai…Ab tujhe mil gayi teri koi humjoli hai…Ab tak akele mein ro lee hai…

Ab hi facebook, twitter aur tv waalon ne bheji tujhe tere dard ki goli hai…

Na amma…tu ne hi to sikhaya thha…

Bura na maano holi hai!

Chup har ladki…tu badi badboli hai!

Dheere dheere bol koi sun na le…sun na le baba sun na le…

Kab tak bolun dheere amma…

Kab tak raaz na kholun amma…

Jab tak tujhse ho paayega…. Dheere dheere bol koi ….…

Tab tak toh unko doosra koi mil jaayega?

Haan tabhi toh teri tarah…meri tarah…haan teri tarah keh paayega…

Meethu…Meethu….

Popta popta boltos god….

#The closet meethoo

Bibliography: “Parakeet Symbolism & Meaning – Parakeet Spirit Animal Guidance.” Universe of Symbolism. N.p., 2018. Web. 15 Oct. 2018.